
Boond bankar sun rahi thi mai rango ki jhooti mooti baatein.
wo nanhi bankar chaap chodna chahti thi kapdo par.
pata nahi apni nishaniya bhulana kyun pasand nahi unhe.
Pighalti , Sisakti , Raundti ..wo bus chipakna janti hai.
ghul ke kaise kho jana hai, kisi ne sikhaya hi nahi unhe
khara , matmaila ya saada;sparsh unka ek jaisa hota hai
paniyon se chankar wo roye bhi to algav behisaab hota hai.
No comments:
Post a Comment